Brahmastra film | Ranbir Kapoor Alia Bhatt | Brahmastra SRK role ?

Brahmastra film official trailer review, Aakhir kya hai brahmastra ?, ore kisne banaya brahmastra ?, Trailer me konse 11 Astra ko Dikhaya hai, brahmastra film me SRK ( Shahrukh khan) ka role ?. 



• Brahmastra

 Brahmastra ak asa Sastra hai Jo pure Universe ko khatam karne ki takat rakhta hai. Brahmastra ka Ulekh hame Bharat ke puranik Garth Ramayan ore Mahabharat me milta hai. Film me yehi bataya jayega ki modern jamane me kese ore kaha se aaya brahmastra.



Brahmastra film

Brahmastra India ki Unice film ho sakti hai, brahmastra film ki sabse pehle Announcement ore public me bat July 2014 me ki gay thi, film ko aate aate 6 Saal nikal gaye. Film ki shooting kafi lambi Chali, film ki shooting new york, london, bulgaria ore sabse mein varanasi me hui hai, film varanasi se hi related hai. film ka budget 300 cror hai. film 3 part me banegi ore ye pehla part hai. 2017 me ye announce kiya gaya ki ye ak trilogy film hai ore brahmastra ki Jo story Hogi vo ak dam original hogi. Film ka cinematic universe hai uska nam hoga Astraverse, ye film Astraverse ka ak part hai.

• Brahmastra film in SRK (Shahrukh khan)

Film ke trailer me hame SRK (Shahrukh khan) nahi dekhi, SRK shayad film me scientist ka role play karne vale hai, Jo Indian mythology ore history pe research kar rahe hai, research me unko brahmastra ke bare mein pata chalta hai. SRK jo brahmastra par research kar rahe hai, unko shayad brahmastra mil bhi jata hai, par brahmastra ko jagane ke liye Jal, Vayu, Agni ore bahot sare Astro ki jarurat pade gi, film me mouni roy ka role Dyrect ya indirectly SRK se Juda ho sakta hai, Jo Kisi bhi kimat par brahmastra ko jagana chahte hai. Abhi SRK ka roll Announcement nahi huva, ho skta hai SRK Mahadev ke role me najar AA jaye, ya fir asvatthama ke ke roll me bhi najar Aa sakte hai. asvatthama Mahabharat ke time se ak shrap bhugat rahe hai ore aaj bhi dharti pe jinda hai, ore jald se jald shrap se chhutkara Pana chahte hai, asvatthama ka shrap tab tak chale ga jab tak ye duniya chale gi, duniya khatam shrap bhi khatam ore ye ak hathiyar kar Sakta hai vo hai brahmastra. yaha change hai ki SRK ka character Bahar se scientist hone ka natak har Raha ho ore jabki andar se vo Asvatthama hai ore Kisi bhi Tarah brahmastra ko dhudh ke Duniya ko khatam Karna chahte ho ore vo shrap se Chhutkara pale.

• Brahmastra trailer

Film ke trailer me hame Shiva yani mahadev ko dikhaya gaya hai, par ho sakta hai hame bramhdev ke bhi darashan ho kyuki brahmastra ke creater brahmadev hai ore Unke bina ye Astra ki Kahani Adhuri rah jayegi. Trailer me hame pavan putra Hanuman ji ke bhi darashan hote hai. Jese Ranbir Kapoor Agni bane hai vese hi Jal Astra ko bhi ak female character Dikhaya gaya hai. Trailer me nagarjun ji ke pichhe Nandi ji ko Dikhaya jata hai, yaha pata chalta hai ki first part me Kahani sayad mahadev aas pass ghumne Vali hai. Ranbir ka nam film me Shiva he ore shayad unka dyrect connection mahadev se hoga. Film me Alia Bhatt ka nam isha hai ye Koy mamuli nam nahi hai, ye nam ke bahot mining hai,indian religion mein isha nam ka mining hai vo Jo sabki Raksha karta hai. To kafi change hai ki film me Shiva ke sath-sath isha ke pas bhi Koy super power ho sakti hai.

• Brahmastra trailer 11 Astra

(1)Nandi Astra trailer me nagarjunv es Astra ko pehne have hai, vo ese Chala rahe hai.

 

(2)Jala Astra trailer me es Astra ko dekhaya nahi gaya par Jal ki Devi ko Dikhaya gaya hai Jo Pani ko control kar Rahi hai, vo chahe to kisi bhi Sahar par sunami lA sakti hai.


(3)Vayu Astra ye trailer me nahi Dikhaya par ye per me badha dikha hai ore uske pichhe Hanuman ji Dikhte hai.


(4)Agni Astra ye Ranbir yani Shiva ke pas hai ve Agni ko fire ore control bhi kar sakte hai.


(5)Prabhastra ye Astra Amitabh ji ke pas dikhta hai ve ak chamkila hathiyar Dikhaya gaya hai 


(6)Ganesh Astra trailer me es Astra ki thodi bahot power Dikhay hai, es Astra ka prayog protect ke liye Dikhaya hai.


(7)Garutwa Astra trailer me es ki jalak Dikhay hai, ve hath ke isaro se Kisi ko bhi hava ma utha pa raha tha.


(8)Naag Astra Jesa nam vesa dekhaya gaya hai, Dhanush me se tir ke badle Naag nikle te hai.


(9)mahisa Astra trailer me red Sadh Jesa Dikhaya hai.


(10)Junoon Astra ye trailer me Dikhaya jata hai, ye memouni roy ke pass Dikhaya jata hai.


(11) Brahmastra ye Astra bahot power full hai, ore puri story es par hi haii.



• Kya hai brahmastra ?

Agar aap ak Bhartia hai to aap ne kabhi na kabhi kuchh vedic granth pade Hoge ya fir Kuchh Aasi Kahaniya Suni Hogi jin me Hindu Devi-Devta vo ke Astro ke bare me kaha hoga. Hindu Devi-Devta vo ke pas unki Shakti ke Anusar Koy na Koy Astra hota tha, jise vs sahi samay par Dharm ore Manav ki Raksha ke liye upyog kiya karte the. Prachinkal me sastro se Jyada sangharak hote the Astra, sastro to dhatu se nirmit hote the Lekin astra ko nirmit karne ki vadhiya alag hi hoti thi, Astra ko un Devi-Devta vo ko Aahavan karke ya nista ki Bhavna vo se prapt kiya jata tha. Un sabhi Astra me se Adhik saktishali tha ore jinke Andar pure Universe ko samapt karne ki sakti thi vo tha brahmadev Dvara banaya gaya brahmastra, ye Koy sadharan Astra nahi tha, ye aaj ke parmanu bumm se kaye guna Shakti shali hai, Ramayan ore Mahabharat me unka Ulekh hai.

Brahmadev bahot bade scientist the unhe Dharm ore shastro ki puri jankari thi, Unhone sabhi urja vo ko milakar Astra ka nirman kiya tha. Brahmastra ko rokna lagbhag na Asambhav tha, ye Astra ka prayog aam Yudh ya fir har Koy nahi kar sakta tha, ese vises sadhna karke hi prapt kiya ja sakta tha, ese chala ne ke liye vises mintra ka jap Karna hota tha.

• Brahmastra ki vises ta ?

Brahmastra brahmadev se bhi skati tha. Brahmastra jaha bhi girta tha vaha dharti ak Aag ke gole me badal jati thi ore aas pas bhaynkar Aag lagjati thi ore vibhin prakar ke Hani karak Rasayan fel jate the, tab Koy bhi jiv jantu, ped podhe Kuch bhi nahi bachta tha. Chahe pahad ho ya samundra sab Kuch Nast ho jata tha. Prapok itna bhaynkar hota tha ki Kam se Kam 12 Saal tak Koy bhi jivan ka uday nahi ho pata tha. Vaha varso tak baris bhi nahi hoti ore bhayanak sukha padta hai. Brahmastra Kisi bhi udh me Dharm ki Raksha ke liye Antim Astra hota tha. Brahmastra ko vahi vekti sahi mantra ka upcharanse ke bad vapis le sakta tha. Brahmastra ka Bhagvan shiv, mata Parvati, vishnudev ore shesnag par Koy prabhav nahi padta.

• Brahmastra ka prayog 

maharshi dadhichi ke putra piplad ne apne pita ki mrityu Aahat hokar brahmastra ko Sanidev par tan diya tha. Tab ve apni pranho ki Raksha ke liye ye pranh Liya tha ki ve 12 vars se Kam Umar ke Kisi bhi Bache ko kabhi pareshan nahi karege ore es Tarah Unke jivan ki Raksha ho payi thi.


• brahmāstra

• brahmastra movie

Brahmastra cast

brahmastra reales date in amazon prime





Post a Comment

Previous Post Next Post